Majnoon Ne Sheher Chora Tu Sehra Bhi Chor De
Nazare Ki Hawas Ho To Laila Bhi Chor De
Waaiz! Kamal-e-Tark Se Milti Hai Yaan Murad
Dunya Jo Chor Di Ha To Uqba Bhi Chor De
Taqleed Ki Rawish Se To Behter Hai Khudkushi
Rasta Bhi Dhoond, Khizr Ka Soda Bhi Chor De
Manind-e-Khama Teri Zuban Par Hai Harf-e-Ghair
Begana Shay Pe Nazish-e-Bay-Ja Bhi Chor De
Lutf-e-Kalaam Kya Jo Na Ho Dil Mein Dard-e-Ishq
Bismil Nahin Hai Tu To Tarapna Bhi Chor De
Shabnam Ki Tarah Phoolon Pe Ro, Aur Chaman Se Chal
Iss Bagh Mein Qayam Ka Soda Bhi Chor De
Hai Ashiqi Mein Rasm Alag Sub Se Baithna
Butkhana Bhi, Haram Bhi, Kaleesa Bhi Chor De
Sodagari Nahin, Ye Ibadat Khuda Ki Hai
Ae Be-Khabar! Jaza Ki Tamanna Bhi Chor De
Acha Hai Dil Ke Sath Rahe Paasban-e-Aqal
Lekin Kabhi Kabhi Isse Tanha Bhi Chor De
Jeena Woh Kya Jo Ho Nafas-e-Ghair Par Madar
Shohrat Ki Zindagi Ka Bhrosa Bhi Chor De
Shaukhi Si Hai Sawal-e-Mukarar? Mein Ae Kaleem!
Shart-e-Raza Ye Hai Ke Taqaza Bhi Chor De
Waaiz Saboot Laye Jo Mai Ke Jawaz Mein
'Iqbal' KO yeh Zid Hai K Peena Bhi Chor De.
(DOCTOR ALLAMA MUHAMMAD IQBAL)
No comments:
Post a Comment