Monday, 3 August 2015

 

dil se teri nigah jigar tak utar gai...(MIRZA GHALIB)


dil se teri nigah jigar tak utar gai
donon ko ik ada mein razamand kar gai
shaq ho gaya hai sina khusha lazzat-e-farag
takleef-e-pardadari-e-zakhm-e-jigar gai
wo bada-e-shabana ki saramastiyan kahan
uthiye bas ab k lazzat-e-khwab-e-sahar gai
urti phire hai khak meri ku-e-yar mein
bare ab ai hawa, hawas-e-bal-o-par gai
dekho to dil farebi-e-andaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-khiram-e-yar bhi kya gul katar gai
har bulahawas ne husn parasti shiar ki
ab abaru-e-shewa-e-ahal-e- nazar gai
nazzare ne bhi kam kiya wan naqab ka
masti se har nigah tere rukh par bikhar gai
farda-o-din ka tafarruqa yak bar mit gaya
kal tum gae k ham pe qayamat guzar gai
mara zamane ne 'Asadullah khan" tumhen
wo walwale kahan, wo jawani kidhar gai
                                       (MIRZA GHALIB)

No comments:

Post a Comment