Monday, 3 August 2015

Har ek baat pe kehte ho tum K ‘too kya hai’ ?...(MIRZA GHALIB)


 Har ek baat pe kehte ho tum K ‘too kya hai’ ?
TumheeN kaho K yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?

Na sho’le meiN yeh karishma na barq meiN ye ada koee bataao K woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?
 
Yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse Wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
 
Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan Hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
 
Jalaa hai jism jahaaN dil bhee jal gaya hoga kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
 
RagoN meiN dauRte phirne ke ham naheeN qaayal Jab aaNkh hi se na Tapka to phir lahoo kya hai ?
 
Woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez Siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?
 
PiyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar Yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?
 
Rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee To kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
 
Bana hai shaah ka musaahib, phire hai itraata
Wagarna shahar meiN ‘Ghalib’ kee aabroo kya hai ?
                                                          (MIRZA GHALIB)

No comments:

Post a Comment