Friday, 26 July 2013

UDAAS TEHREE PARH K MERI, MERE SANAM MUSKRA NA DENA..... by (MOHSIN NAQVI)

Udaas tehreer parh k meri, mere sanam muskura na dena;
Yeh akhri khat mein likh raha hu, khayal krna jala na dena;

Guzar rahi hai tumhari kesi, bichar k humse rula k humko;
haqeeqton ko zaroor likhna, Ana ki khatir chupa na dena;

KOi jo puchey kidhar gaya wo, jo teri mehfil ka tha sahara;
JO furqaton ka sabab baney they, Kisi bashar ko bata na dena;

Mein mar b jaun to muskurana, Ehsas e gam ki na chot khana;
Jo kurb e ghum se nigaahein bheegein, to rukh se anchal hata na dena;

Lahoo se tehreer kar raha hu, mein apni sari kahani 'Mohsin'
Jo phar b do to pas rakhna, hawa mein tukrey ura na dena.

                                                          (MOHSIN NAQVI)

FARAZ TJHE NA AAYEEN MOHABATEN KARNI ..... by ( AHMAD FARAZ)

Yeh kya ke sab se bayaaN dil kii haalatein karni
'faraz' tujh ko na aayeen mohabbatein karni

yeh qurb kya hai ke tu saamne hai aur hamein
shumaar abhi se Khudaai ke sa'atein karni

koi khuda ho ke patthar jise bhi ham
chaahein tamaam umr usi kii ibaadatein karni

sab apne apne qareene se muntazir us ke
kisi ko shukr kisi ko shikaayatein karni

ham apne dil se hi majboor aur logon ko
zaraa si baat pe barpaa qayaamatein karni

milen jab un se to mubham si guftagoo karna
phir apne aap se sau sau dafaa hmaqtein karni

yeh log kaise magar dushmani nibaahte hain
hamein to raas na aayen mohabbatein karni

kabhi "faraz" naye mausamon mein ro dena
kabhi talaash puraani rafaaqatein karni
                                           

                                                                                         (AHMAD FARAZ)

HAQEEQAT JAN KER AISI HAMAAQAT KON KERTA HAI...... by (MOHSIN NAQVI)

Haqeeqat jan ker aisi hamaaqat kon kerta hai
bhala bay faiz logon se Muhabbat Kon Kerta hai

Batao Jis Tijarat Main Khasaara Hi Khasara Ho
Bina soche Khasare Ki Tijarat Kon Kerta Hai


Humain Hi Ghalat Fehmi Thi Wagarna!!!!
Zamane Ke Rawajon Se Baghawat Kon Kerta Hai

Khuda Ne Sabar Kerne Ki Humein Toufeeq Bakhshi Hai
Arey ! Ji Bhar Ke Tarpao Shikayat Kon Kerta Hai


Kisi Ke Dil Ke Zakhmon Per Marham Rakhna Zaroori Hai
Magar Is Dor Main 'Mohsin' Ye zehmat Kon Kerta Hai?

                                                       (MOHSIN NAQVI)

MAJNOON NE SHEHAR CHORA TU SEHRA BHI CHOR DE....... by (DOCTOR ALLAMA MUHAMMAD IQBAL)

Majnoon Ne Sheher Chora Tu Sehra Bhi Chor De
Nazare Ki Hawas Ho To Laila Bhi Chor De

Waaiz! Kamal-e-Tark Se Milti Hai Yaan Murad
Dunya Jo Chor Di Ha To Uqba Bhi Chor De

Taqleed Ki Rawish Se To Behter Hai Khudkushi
Rasta Bhi Dhoond, Khizr Ka Soda Bhi Chor De

Manind-e-Khama Teri Zuban Par Hai Harf-e-Ghair
Begana Shay Pe Nazish-e-Bay-Ja Bhi Chor De

Lutf-e-Kalaam Kya Jo Na Ho Dil Mein Dard-e-Ishq
Bismil Nahin Hai Tu To Tarapna Bhi Chor De

Shabnam Ki Tarah Phoolon Pe Ro, Aur Chaman Se Chal
Iss Bagh Mein Qayam Ka Soda Bhi Chor De

Hai Ashiqi Mein Rasm Alag Sub Se Baithna
Butkhana Bhi, Haram Bhi, Kaleesa Bhi Chor De

Sodagari Nahin, Ye Ibadat Khuda Ki Hai
Ae Be-Khabar! Jaza Ki Tamanna Bhi Chor De

Acha Hai Dil Ke Sath Rahe Paasban-e-Aqal
Lekin Kabhi Kabhi Isse Tanha Bhi Chor De

Jeena Woh Kya Jo Ho Nafas-e-Ghair Par Madar
Shohrat Ki Zindagi Ka Bhrosa Bhi Chor De

Shaukhi Si Hai Sawal-e-Mukarar? Mein Ae Kaleem!
Shart-e-Raza Ye Hai Ke Taqaza Bhi Chor De

Waaiz Saboot Laye Jo Mai Ke Jawaz Mein
'Iqbal' KO yeh Zid Hai K Peena Bhi Chor De.

                                              (DOCTOR ALLAMA MUHAMMAD IQBAL)

Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay...... by (FAIZ AHMAD FAIZ)

Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay
Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay
Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay
Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya
Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay
Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham
Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay
Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha
Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay
Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna “Faiz”
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay
                                      (FAIZ AHMAD FAIZ)

US BEWAFA KA SHEHR HAI AUR HUM HAIN DOSTO....by(MUNIR NIAZI)

Us Bewafa Ka Shehr Hai Aur Hum Hain Dosto 
Ashk-E-Rawa'n Ki Nehar Hai Aur Hum Hain Dosto
 
Ye Ajnabi Si Manzilein Aur Raftaga'n Ki Yaad 
Tanhaiyo'n Ka Zehar Hai Aur Hum Hain Dosto 

Laayi Hai Ab Uraa Ke Nayi Mausamo'n Ki Baas 
Barkha Ki Rutt Ka Qehar Hai Aur Hum Hain Dosto 

Phirtay Hain Misl-E-Mauj-E-Hawa Shehr Shehr Main 
Aawargi Ki Lehar Hai Aur Aur Hum Hain Dosto
 
Shaam-E-Alam Dhalli To Chali Dard Ki Hawa 
Raato'n Ka Pichhla Pehar Hai Aur Hum Hain Dosto 

Aankho'n Main Urr Rahi Hai Luti Mehfilo'n Ki Dhool 
Ibrat Sara-E-Dehar Hai Aur Hum Hain Dosto...!!!
                                                                      (MUNIR NIAZI)

MERI SARI ZINDGI KO BESAMAR US NE KIA .....by (MUNIR NIAZI)


Meri saari zindagi ko be’samar iss ne kiya
Umar meri thi magar,isko basar iss ne kiya

Main bohut kamzor tha iss mulq main hijrat kay baad

Per mujhe iss mulq mein kamzor’tar iss ne kiya

Rehbar mera bana gumraah karne kay liye

Mujhko seedhey raste se darbadar iss ne kiya

Shehar mein woh moatbir meri gawahi se huwa

Phir mujhe iss shehar main na’moatbir iss ne kiya

Shehar ko barbaad kar kay rakh diya iss ne ‘Munir’

Shehar per yeh zulm mere naam per iss ne kiya

                                                    (MUNIR NIAZI)

Wednesday, 24 July 2013

IS SHART PE KHELON GI PIYA PYAR KI BAZI.... by (PERVEEN SHAKIR)

is shart pe khelon gi piya pyar ki bazi,
jeeton to tujhe paon haron to piya teri,

har lahza khayal tera rakhon gi siraf itna,
baith jaon to b teri uth jaon to b teri,

kuch kar loun gi haal apna aisa main humsafar,
ankh lagey to b teri ankh khuley to b teri,

teri har aahat pe paalon gi tabeer aisi,
hans jaon to b teri roth jaon to b teri,

main sath tera kuch aise doun gi jaan-e-jahaan,
zinda hon to b teri mar jaon to b teri..
                                   (PERVEEN SHAKIR)

MARNE SE BHI PEHLE MAR GAYE THY......by (PERVEEN SHAKIR)

Marney se bhi pehle mar gaye they,
Jeeney se kuch aese dar gaye they,
Rastey mein jahan talak diye they,
Saarey mere hamsafar gaye they,
Aankhain abhi khul nahin saki thi’n,
Aur khawb mere bikhar gaye they,
Jab tak na khila tha us ka waada,
Mausam mere be’samar gaye they,
Ab tak wohhi nasha e paziraayi*,
                              (PERVEEN SHAKIR)

WO JO HUM ME TUM ME QARAAR THA..... (in urdu)

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEhFrEMlRM-NuNTR6YeAomYLkPsShpqDMBlSnlVNQJH22g7Ojg3WWz1gEdIIij_T_cDoDCs_Bsi1s-zEr5wuf7y7FAV-g_tMdiWT0AQiJ2_0cordDmGwF8xpph0TA3mEtUeqFeh1LDrzvSME/s1600/woh+jo+hum+mein_Momin.jpg

WO JO HUM ME TUM ME QARAAR THA.....BY (MOMIN KHAN MOMIN)

Wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhen yaad ho ke na yaad ho
wohi yani wada nibah ka tumhen yaad ho ke na yaad ho
wo naye gile wo shikayaten wo maze maze ke hikayaten
wo har ek baat pe ruthana tumhen yaad ho ke na yaad ho
koi baat aisi agar hui jo tumhare jee ko buri lagi
to bayan se pahale hi bhulana tumhen yaad ho ke na yaad ho
suno zikr hai kai saal ka, koi wada mujh se tha aap ka
wo nibahane ka to zikr kya, tumhen yaad ho ke na yaad ho
kabhi hum mein tum mein bhi chah thi, kabhi hum se tum se bhi reh thi
kabhi hum bhi tum bhi the aashna, tumhen yaad ho ke na yaad ho
hue ittefaq se gar baham, wo wafa jatane ko dam-ba-dam
gila-e-malamat-e-arqaba, tumhen yaad ho ke na yaad ho
wo jo lutf mujh pe the beshtar, wo karam ke hath mere hath par
mujhe sab hain yaad zara zara, tumhen yaad no ki na yaad ho
kabhi baithe sab hain jo ru-ba-ru to isharaton hi se guftagu
wo bayan shauq ka baramala tumhen yaad ho ki na yaad ho
wo bigadana vasl ke raat ka, wo na manana kisi baat ka
wo nahiin nahi ke har aan ada, tumhen yaad ho ki na yaad ho
jise aap ginte the aashna jise aap kahate the bavafa
main wohi hun “momin”-e-mubtala tumhen yaad ho ke na yaad ho
                                                        (MOMIN KHAN MOMIN)